kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha dil shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha sahra mein bagulon ki tarah nach raha hun fitrat se main baadal tha barasne ke liye tha roti hui ek bhid mere gird khadi thi shayad ye tamasha mere hansne ke liye tha kuchh raat ka ehsan hai na suraj ka karam hai ghuncha to bahar-haal bikasne ke liye tha is rah se guzra hun jahan sans na de sath har naqsh-e-kaf-e-pa mere dasne ke liye tha har qatra meri aankh se bahne ko tha betab har zarra mere panw jhulasne ke liye tha