na koi aah na koi KHalish na dard na gham

na koi aah na koi khalish na dard na gham
wo yaad aae to pahron sukut ka aalam

dikha gai mujhe nairangiyan zamane ki
wo ek nigah kabhi multafit kabhi barham

halawaton mein wo dubi si ek karam ki nigah
latafaton mein wo lipte hue hazar sitam

wo ek sham ki khud jal uthe hain ghar ke charagh
wo ek subh ki khud jis pe ro padi shabnam

mohabbaton mein ye iman ye chashm-e-nam ye tadap
buton se hum ko bahut kuchh mila khuda ki qasam

ajib dhun thi ki thahre kahin na diwane
wo rahaton ka chaman ho ki khar-zar-e-alam

na puchh kyun mujhe aate hain yaad ai 'jazbi'
jahan-e-dard mein dard-e-jahan ke wo mahram


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close