kya ye aafat nahin azab nahin dil ki haalat bahut kharab nahin bud pal pal ki be-hisabi hai ki muhasib nahin hisab nahin khub gaw bajao aur piyo in dinon shahr mein janab nahin sab bhatakte hain apni galiyon mein ta-ba-khud koi baryab nahin tu hi mera sawal azal se hai aur sajan tera jawab nahin hifz hai shams-e-bazgha mujh ko par mayassar wo mahtab nahin tujh ko dil-dard ka nahin ehsas so meri pindliyon ko dab nahin nahin judta khayal ko bhi khayal khwab mein bhi to koi khwab nahin satar-e-mu us ki zer-e-naf ki hae jis ki chaqu-zanon ko tab nahin