parde parde mein ye kar leti hain rahen kyunkar par ho jati hain sine ki nigahen kyunkar dil mein aane ki nikal aati hain rahen kyunkar upar uth jati hain wo nichi nigahen kyunkar kar liya karte the dil khol ke aahen kyunkar ab ye rona hai karahen to karahen kyunkar gudgudane nahin aati hain sar-e-baam tumhein arsh par khelti hain ja ke ye aahen kyunkar niklen ghunghat mein ye mizhgan ke jo niklen bhi kabhi shokh ho jati hain sharmili nigahen kyunkar tu bhi jaane ki mila chahne wala tujh ko tu bata de tere sadqe tujhe chahen kyunkar kya khabar hai tujhe o chain se sone wale ki dam-e-sard bana karti hai aahen kyunkar tur walo se lab-e-baam hain aane wale dekhen ladti hain nigahon se nigahen kyunkar shauq idhar sharm udhar baat nai raat nai dekhen milti hain nigahon se nigahen kyunkar ye umangen ye tarangen ye jawani ye shabab tauba kar ke ye batao ki nibahen kyunkar sharm ke putle ko aa jati hai kyunkar shokhi bijliyan banti hain sharmili nigahen kyunkar hum 'riyaz' auron se khuddar siwa hain lekin rah ke mashuqon mein hum waza nibahen kyunkar