qurbat ke un dinon mein bhi jaana pada mujhe aankhon se apni raaz chhupana pada mujhe dil ko to main ne jhuth se bahla liya magar thoda bahut to shor machana pada mujhe wo chahta tha khelna mere hi jism se phir darmiyan ishq ke aana pada mujhe us ko tha shauq beach samundar mein marne ka sahil ko khinch khinch ke lana pada mujhe be-rang karni thi mujhe apni ye zindagi so shairi mein rang girana pada mujhe us ka ye manna tha ki main us se badh ke hun kar ke tabah khud ko ghatana pada mujhe tu ban raha khuda hai to ye bhi hisab de kitna bigad kar ke banana pada mujhe is sher ko sunana tha us shakhs ko mujhe mahfil mein aap ki ye sunana pada mujhe