nazir jis ki mil sake wo apna majra na tha

nazir jis ki mil sake wo apna majra na tha
likha na tha padha na tha suna na tha hua na tha

zamane mein jo hadisa mere liye naya na tha
kisi ne bhi suna na tha kahin bhi wo hua na tha

jo us gali mein rah gae khushi ko apni dakhl kya
qasam kisi ki naseha qadam hi uth saka na tha

ghazab mein jaan pad gai na puchh rahat-e-adam
kisi ko kuchh gharaz na thi kisi se muddaa na tha

jo daftar-e-zamana par nigah apni pad gai
jawab hi na jis ka ho wo koi majra na tha

khayal-e-arzu hi tha ki yas ne ye di khabar
wo kaba tera dheh gaya abhi jo ban chuka na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close