na maut hijr mein aai na mujh ko khwab aaya ye kis azab mein main hun ye kya azab aaya pas-az-fana mere lashe ko paemal kiya ye dil mein kya tere ai khanuman-kharab aaya tawaf-e-kaba ka hum ko sawab khak hua qadam qadam pe khayal-e-khum-e-sharab aaya hazar dawe hain dar-parda zulm karne par ghazab hua jo wo mahshar mein be-naqab aaya khata adu ki jafa mujh pe munsifi yahi hai ye kya khayal tujhe shokh pur-itab aaya ilahi aaj hua kya wagarna tha ye tha udhar gaya mera khat aur idhar jawab aaya hua hai sine mein shayad jigar do para 'haya' bajae ashk jo aankhon se khun-e-nab aaya