samna hai nigah-e-qatil ka dekhna hausla mere dil ka hae kahna ada se qatil ka hum ko dikhlao raqs bismil ka chale munh pher kar wo maqtal se haal dekha gaya na bismil ka josh-e-wahshat mein tera diwana kyon na mushtaq ho salasil ka khinch kar un ko mere ghar laya asar aakhir ko jazb-e-kaamil ka shaikh khamosh ho khuda ke liye zikr rindon mein kya masail ka kash wo chutkiyan hi len aa kar mashghala kuchh to ho dukhe dil ka bosa de dalo husn ki khairaat rad na kije sawal sail ka ai saba kar bhi qais par ehsan tu hi parda utha de mahmil ka shak tha mitti ka na ho aashiq ke itr kyunkar wo sunghte gul ka naza mein bhi 'diler' aae na wo rah gaya dil mein hausla dil ka