ye aise dard ka lamha hai bhai yahan har shakhs afsurda hai bhai sulagti khwahishon ke ped par kyon parinda karb ka baitha hai bhai hamare aur us ke darmiyan ab bas ek tuta hua rishta hai bhai zamana kuchh kahe lekin ghazal mein hamein to sirf sach likhna hai bhai yahan har shakhs mujh se puchhta hai sukun-e-dil kahan milta hai bhai nahin hai mal-o-daulat pas 'sahir' magar ek khwab to apna hai bhai