kyon na ai dil jafa kare koi rasm-e-ulfat hai kya kare koi lakh nala kiya kare koi nahin mumkin riha kare koi jab na baqi ho quwwat-e-parwaz kya sitam hai riha kare koi maraz-e-ishq ka ilaj nahin kya dil-e-mubtala kare koi dekh le tujh ko phir kahan mumkin khwahish-e-ma-siwa kare koi zabt-e-gham ka hamein bhi dawa hai hai jo zalim hua kare koi dard-e-ulfat hai zindagi meri ye samajh kar dawa kare koi zat-e-wahid hai paikar-e-insaf us ki tarif kya kare koi jalwa-farma kahan nahin wo 'salim' dida-e-dil to wa kare koi