kyon na ho mujh se siyah-bakht ke tan mein suraj teri zulfon mein hai shab gore badan mein suraj gar sar-e-sham wo mah-rukh pae-gul-gasht aae jate-jate bhi palat aae chaman mein suraj chand-taron ka to kya zikr hai ai mah-jabin tere aanchal ki hai ek ek kiran mein suraj aarsi us ne jo sharma ke labon pe rakh li main ye samjha ki dahakta hai dahan mein suraj zer-e-anchal wo tera gora badan tha zalim ya shab-e-wasl mein aaya tha gahan mein suraj wasl ki shab teri choti mein jo bunda uljha raat-bhar chamka kiya sanp ke phan mein suraj qabr mein howe na taklif farishton ko 'asar' ba'd-e-murdan koi rakh dijo kafan mein suraj