yun dahakta hai teri yaad ka tan mein suraj jaise bahta ho lahu ban ke badan mein suraj kam-nigahi se zamane ne unhen phul kaha warna hum ne to ugae the chaman mein suraj raat-bhar hum ne ujalon ki nigahbani ki subh ko bat gaya ek ek kiran mein suraj kaisi ye pyas hai maujon ki jo bujhti hi nahin roz utarta hai samundar ke dahan mein suraj mere sae ne mujhe aise chhupa rakkha hai jis tarah chand se aata hai gahan mein suraj hath mein le ke ‘asa tum yad-e-baiza to dikhao log dekhen to sahi sanp ke phan mein suraj zist ne dagh jo bakhshe hain chamakne do 'asar' mat chhupao abhi lafzon ke kafan mein suraj