makan aur bhi hain zaman aur bhi hain tere shauq ke raaz-dan aur bhi hain lab-e-shikwa-sanj-e-mohabbat na ghabra tere bazm mein ham-zaban aur bhi hain dar-e-mai-kada hai agar band waiz khuda rakkhe pir-e-mughan aur bhi hain agar ek kaman-kash ne nazren churain to duniya mein abru-kaman aur bhi hain na itraen auraq-e-gul par anadil ki zeb-e-chaman gul-rukhan aur bhi hain nahin khatam-e-shauq farhad-o-majnun talabgar-e-ku-e-butan aur bhi hain ghazalan-e-ram-khurda-o-shokh-dida hasinan-e-ahu-washan aur bhi hain bahut mat chahak qumri-e-sarw-e-khubi giraftar-e-tauq-e-giran aur bhi hain faqat ek mazhar na tha jaan-e-jaanan azizo abhi jaan-e-jaan aur bhi hain luta di mai-e-khun-e-dil phir bhi 'naqwi' talabgar-e-ratl-e-giran aur bhi hain