qissa-e-dard-e-jigar kis se kahun kaise kahun ye mohabbat ka asar kis se kahun kaise kahun raat bhar sham-e-nazar raushan kiye baitha raha wo na aae ta-sahar kis se kahun kaise kahun dil mera betab hai kis ki tajalli ke liye kyon pareshan hai nazar kis se kahun kaise kahun kaun hai aakhir wo kis ke naqsh-e-pa ke waste muntazir hai rahguzar kis se kahun kaise kahun puchhne ko aae hain ahbab mera haal-e-dil kahna to chahun magar kis se kahun kaise kahun kaise kaise dukh uthae main ne rah-e-shauq mein dastan-e-pur-asar kis se kahun kaise kahun bais-e-rahmat hai ya hai bais-e-zahmat 'mayank' ek mohabbat ki nazar kis se kahun kaise kahun