subuk mujh ko mohabbat mein ye kaj-uftad karta hai jo main hargiz na karta wo mera ham-zad karta hai bikhar kar bhi usi ko dhundhti hain har taraf aankhen jo mujh ko ek nigah mein ek se la-tadad karta hai hui hain shor-e-dil mein gharq tabiren sadaon ki magar itni khabar hai koi kuchh irshad karta hai qayamat hai jo ab ye khuftagan-e-khak-e-dil jagen koi is kohna virane ko phir aabaad karta hai kaha ho kuchh kabhi mujh se to ai chaaragaro jaanun main kya kah dun dil-e-bimar kis ko yaad karta hai saramad ishq hai pata hai koi dil nasibon se phir apne waste mashuq khud ijad karta hai bura kahna mujhe us ka wazifa hai to hone do wo khud ko yun mere aaseb se aazad karta hai