kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae tum aaine mein kis ke kharidar ban gae bijli chhalawa fitna qayamat ghazab bala main kya kahun wo kya dam-e-raftar ban gae bazar-e-dahr ka to yahi karobar hai do-chaar agar bigad gae do-chaar ban gae ek sair thi maze ki ye aaraishon ke waqt sau bar wo bigad gae sau bar ban gae han han unhin ke pichhe to di hai 'sharaf' ne jaan aa kar hansi-khushi jo aza-dar ban gae