mehr-o-ulfat se maal-e-tahzib khaksari hai kamal-e-tahzib hai wo aaraish-e-husn-e-baatin jis ko kahte hain jamal-e-tahzib kam nahin mardumak-e-chashm se kuchh rukh-e-insan pe khal-e-tahzib aaj-kal hum mein agar sach puchho shakl anqa hai misal-e-tahzib kabhi hota nahin bad-waza ka khauf hai ajab jah-o-jalal-e-tahzib rukh pe karta hai matanat paida dil mein aate hi khayal-e-tahzib apne matlab ka jahan kuchh ho lagaw nahin rahta hai khayal-e-tahzib qaum ka apne na ghatta wo uruj ho na jata jo zawal-e-tahzib jam-e-jam se hai kahin pur-tamkin bazm-e-khullat mein sifal-e-tahzib us ka khun karte hain jo nahaq-kosh un ki gardan pe wabaal-e-tahzib murda qaumon ke liye aab-e-hayat banta jata hai zulal-e-tahzib badr ban jaega chande mein 'habib' haq ne chaha to hilal-e-tahzib