na ada mujh se hua us sitam-ijad ka haq meri gardan pe raha khanjar-e-bedad ka haq naseho gar na sunun main meri qismat ka qusur tum ne irshad kiya jo ki hai irshad ka haq yaad to haq ki tujhe yaad hi par yaad rahi yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq apni taswir pe sadqe tere sadqe kar use isi surat se ada howega bahzad ka haq haq ko baatil koi kis tarah se kah de ai but kahin sani nahin us husn-e-khuda-dad ka haq jaan-kani pesha ho jis ka wo lahaq hai tera tujh pe shirin hai na khusraw ka na farhad ka haq bar-e-ehsan se nahin sar bhi utha sakta hun mere sar par hi raha us mere jallad ka haq sun ke kahta hai yahan kaun hai sunta mat sun sunne wala hi suna is meri fariyaad ka haq wahi insan hai 'ehsan' ki jise ilm hai kuchh haq ye hai bap se afzun rahe ustad ka haq