mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun tu kai dinon se nahin mila main kai dinon se udas hun dil-e-muztarib mere pas tha mujhe gham azal se hi ras tha main kai dinon se udas tha main kai dinon se udas hun wo utha to zauq-e-talab utha mere dil se rang-e-tarab utha ye khizan ke din mere rab utha main kai dinon se udas hun tu riyaz-e-hast se phul chun mere dil mein ab fana ki dhun mujhe tujh se hona hai ab juda main kai dinon se udas hun wo jo aarzu ki rafiq ho jo rafiq-e-dard-e-amiq ho mujhe de de aisi koi dawa main kai dinon se udas hun tu mere mizaj ka phul hai tu nahin to aankh fuzul hai tu nazar ki jhil mein jhilmila main kai dinon se udas hun jahan ab hai malba pada hua yahan pahle koi nagar bhi tha mera ghar nahin mujhe mil raha main kai dinon se udas hun meri aankh husn-parast hai mere gird sham ka dasht hai koi taq-e-dil mein jala diya main kai dinon se udas hun