lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla mujhe pahunchna kahan tha kahan main aa nikla jahan safed gulabon ka khwab tha raushan wahan siyah pahadon ka silsila nikla bahaw tez tha dariya ka chand lamhon mein meri nigah ki had se wo dur ja nikla tilism tuta jab us ke hasin lahje ka meri umid ke bar-aks faisla nikla na jaane kab se main us ke qarib tha lekin baghaur dekha to sadiyon ka fasla nikla jo lamha lamha juda kar raha tha khud se mujhe mere wajud ke andar hi wo chhupa nikla samajh rahe the jise hum baraat ka manzar qarib ja ke jo dekha to hadsa nikla