mathe pe padi zulf-e-girah-gir hila di kyun tum ne dil-e-khufta ki zanjir hila di waise to mere ishq ka har naqsh hasin tha jab dard ne khinchi to ye taswir hila di khat bhej diya kat ke paiman-e-mulaqat ye kaun hai jis ne teri tahrir hila di yun hi na samajh ahl-e-mohabbat ke junun ko kam-bakht ne jab chaha hai taqdir hila di wo zalzala go roz hila deta tha dil ko is bar magar sari hi tamir hila di