kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak han mere qad ke barabar nahin aaya ab tak ek muddat se hun main sina-sipar maidan mein hamla-awar koi badh kar nahin aaya ab tak ye to dariya hain jo aape se guzar jate hain josh mein warna samundar nahin aaya ab tak honge manzil se ham-aghosh ye ummid bandhi raste mein koi patthar nahin aaya ab tak kya zamane mein koi gosh-bar-awaz nahin koi bhi dil ki sada par nahin aaya ab tak jaane kya baat hai saqi ki teri mahfil mein jo gaya badh wo palat kar nahin aaya ab tak intiha ye hai ki pathra gain aankhen apni samne wo pari-paikar nahin aaya ab tak kya karishma hai dur-e-ashk-e-mohabbat apna sadaf-e-chashm se bahar nahin aaya ab tak muntazir hun main kafan bandh ke sar se 'ajiz' samne se koi khanjar nahin aaya ab tak