musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati kuja sirat ki surat tak bhi pahchani nahin jati hadis-e-gham sunane se pareshani nahin jati magar kuchh log hain jin ki ye nadani nahin jati janab-e-shaikh bol utthen ba-har mabhas ba-har mauqa ki un ki khu-e-pindar-e-hama-dani nahin jati suna sail-e-tamanna mein hazaron shahr-e-dil dube magar phir bhi tamannaon ki tughyani nahin jati sajaya hum ne taswir-e-butan se khana-e-dil ko magar bain hama us ghar ki virani nahin jati mohammad-mustafa ki shan-e-rifat koi kya jaane jahan wo hain wahan tak fikr-e-insani nahin jati kiya logon ne gard-alud kitna chehra-e-mazi 'nazar' hairat hai phir bhi is ki tabani nahin jati