kyun kar chubhe na aankh mein gul khar ki tarah bhai hai dil ko ek trahdar ki tarah haalat talash-e-yar mein ye ho gai meri jata hun baith baith dil-e-zar ki tarah kya dil mein khar rashk-e-rukh-e-yar ka chubha bigdi hui hai kyun gul-e-gulzar ki tarah hai kuchh na kuchh wahan bhi asar dard-e-ishq ka aankh un ki bhi hai is dil-e-bimar ki tarah ai kash mere tar-e-rag-e-jaan ko tod de qatil ki tegh yar ke iqrar ki tarah 'kaifi' bithaen aankhon pe kyun aap ko na log chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah