lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-khana shikast-e-tauba hi hai ya nai tamir-e-mai-khana azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho raqam hai khatt-e-jam-e-baada mein taqdir-e-mai-khana to kya ai zahid-e-khushk us ki azmat jaan sakta hai qalam se mauj-e-kausar ke khichi taswir-e-mai-khana ye mai-sajjada rangin-kun garat pir-e-mughan goyad ki dana-e-rumuz-e-do-jahan hai pir-e-mai-khana mila paoge is ka silsila tasnim-o-kausar se bahut tul-o-tawil ai shaikh hai zanjir-e-mai-khana bana hai shisha-e-mai sar-ba-sar aaina-e-mahshar bari zohd-o-riya se hai jawan-e-pir-e-mai-khana tu sari umr ab matha ragadta rah kada ke kar na tale se tale ai shaikh ye tazir-e-mai-khana dahai saqi-e-kausar ki ye hain nafs ke bande jo wasl-e-hur ki khatir karen tahqir-e-mai-khana habab-e-khat-e-jam-o-qulqul-e-mina se sabit hai wo hai tasbih-e-mai-khana ye hai takbir-e-mai-khana gira jo khisht-e-khum par sar lab-e-kausar ne chuma hai ki hai taqsir-e-mai-khana hi mein tauqir-e-mai-khana na kyun har qatra-e-mai mehr ki aankhon ka tara ho ki barq-e-tur ki hai ek chamak tanwir-e-mai-khana padi hai ek nazar jis par wo be-khud ho gaya 'kaifi' nigah-e-mast-e-saqi mein hai kya tasir-e-mai-khana