mata-e-pas-e-wafa kho nahin sakunga main kisi ka tere siwa ho nahin sakunga main sada rahega tar-o-taza shakh-e-dil par tu fuzul ranj ki kuchh bo nahin sakunga main tu aanhken mund le to nind aae mujh ko bhi tu jaanta hai ki yun so nahin sakunga main mujhe wirasat-e-gham se bhi aaq kar dala ye kaisa lutf ki ab ro nahin sakunga main bahut hasin hai jahan, zindagi bhi khub magar mazid bar-e-nafas dho nahin sakunga main