wo gul-farosh kahan ab gulab kis se lun nahin raha mera saqi sharab kis se lun teri talash mein is umr-e-mustaar ke sal jo raegan gae in ka hisab kis se lun hayat khud hai sawal aur khud jawab apna sawal kis se karun main jawab kis se lun kisi ke nam jo mansub abhi nahin ki thi main apni khoi hui wo kitab kis se lun tumhaare baad na dekhun tumhaare jaison ko to ye shaben ye umangen ye khwab kis se lun nasha kisi se bhi le lun 'shuur' aaj magar wo roz-e-abr-o-shab-e-mahtab kis se lun