noch liye har shakh se patte buta buta lut liya dast-e-khizan ne chori chori bagh-e-tamanna lut liya us ko khud hi main ne apne shahr ki daulat saunpi thi kis se zikr karun ab ja kar us ne kya kya lut liya aur to kuchh bhi pas nahin tha ek yaadon ki daulat thi zalim waqt ne chupke chupke ye bhi asasa lut liya sukh gai hain dhup mein shakhen ummidon armanon ki mausam-e-gham ne dil ke shajar ka patta pata lut liya apne dil ke armanon ka mela ek lagaya tha us ne apni chhab dikhla kar sara mela lut liya har su baam-o-dar par chhae dard-o-yas ke sae hain kis zalim ne is nagri ka qarya qarya lut liya tujh ko bhi tha 'shahid'-e-nadan apne dil par naz bahut us ne chor ban ke aakhir rafta rafta lut liya