lipti hui phirti hai nasim un ki qaba se gul khilte hain har gam pe daman ki hawa se dil aisa diya kyun ki raha kushta-a-jaanan tum se nahin ye shikwa bhi karna hai khuda se mahram hain hamin garmi-e-guftar se un ki jo hont jo aankhen hain giran-bar haya se aahista karo chaak gulo apna gareban gunje na chaman ghunchon ke hansne ki sada se kholenge unhin hathon ke nakhun girah-e-dil jo basta hain rangini-o-khushbu-e-hina se tabir ke sahraon mein hain khwab-e-pareshan dariya ko sarabon se sada dete hain pyase lete ho agar nam-e-shahidan to hai ye shart jaan jae rahe pa na haten rah-e-wafa se