kyun yaqin rakkhen khayal-o-khwab par jam na jae gard-e-gham aasab par pitte rahna lakiren hai abas ghaur karna chahiye asbab par likh raha hai raushni ki dastan ek diya jalta hua mehrab par apne dukh ka majra chheda nahin ye mera ehsan hai ahbab par tum bhi duniya walon jaise ho gae pad gai thi kya nazar surkhab par kashtiyan 'rumi' dubote hum rahe tohmaten lagti rahen girdab par