zahr ko mai na kahun mai ko gawara na kahun raushni mang ke main khud ko sitara na kahun apni palkon pe liye phirta hun chahat ke sarab dil ke sahra ko samundar ka kinara na kahun hijr ke phul mein wo chehra-e-zarrin dekhun wasl ke khwab ko milne ka ishaara na kahun marte marte bhi ye tahrir amanat meri maut ke baad bhi jine ko khasara na kahun apni takmil ke har naqsh mein dekhun us ko arsa-e-dahr ko hasrat ka nazara na kahun hashr se pahle mere hashr ki taswir na ban harf-e-akhir ko kisi taur dobara na kahun zindagi jis ki mere dam se ibarat ho 'zafar' kyun kahe koi use jaan se pyara na kahun