zahar deta hai koi koi dawa deta hai jo bhi milta hai mera dard badha deta hai kisi hamdam ka sar-e-sham khayal aa jaana nind jalti hui aankhon ki uda deta hai pyas itni hai meri ruh ki gahrai mein ashk girta hai to daman ko jala deta hai kis ne mazi ke darichon se pukara hai mujhe kaun bhuli hui rahon se sada deta hai waqt hi dard ke kanton pe sulae dil ko waqt hi dard ka ehsas mita deta hai 'naqsh' rone se tasalli kabhi ho jati thi ab tabassum mere honton ko jala deta hai