kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae

kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae
socha tere karam ko sitam yaad aa gae

ai dost mai-kade mein ye kaisi hawa chali
sab fitna-ha-e-dair-o-haram yaad aa gae

raushan abhi hua tha sar-e-jada-hayat
ek kakul-e-siyah ke kham yaad aa gae

ab kya dikha raha hai rah-e-mah-o-kahkashan
naseh kisi ke naqsh-e-qadam yaad aa gae

ek ek kar ke tut chuke hain khirad ke but
but-khana-e-junun ke sanam yaad aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close