tujh ko andaze nahin rah ki dushwari ke hum to qail hain teri qafila-salari ke ye tere sath mein rone se khula hai mujh par hain teri aankh mein sab ashk adakari ke bewafai bhi agar ki to bataya us ko main ne aadab nibhae hain wafadari ke jashn main ne bhi manaya tha shajar katne ka us ne wo faede ginwae mujhe aari ke dasht ka dasht jin aankhon pe luta baitha tha hum bhi pichhe the usi aahu-e-tatari ke ab mujhe yaad nahin pairahan-e-ishq-o-wafa han magar naqsh tere wasl ki gul-kari ke