mai se raushan rahe ayagh apna gul na ho saqiya charagh apna hijr mein tar ho kya dimagh apna khushk lab aap hai ayagh apna nikhat-e-zulf jab se aai hai nahin milta hamein dimagh apna kis ki hum justuju mein nikle the nahin pate kahin suragh apna kya hai mazkur-e-marham-e-kafur jab namak sauda ho na dagh apna hai shab-e-hijr wadi-e-wahshat dida-e-ghul hai charagh apna raat-din gul-rukhon se sohbat thi yaad aata hai khana-bagh apna so raha jo lipat ke wo gul-e-tar dil hua aaj bagh-bagh apna barg-e-gul saf ban gaya phaha kya moattar hua dimagh apna