mere jigar ki tab dekh rukh ki shikastagi na dekh fitrat-e-ashiqi samajh qismat-e-ashiqi na dekh aur nazar wasia kar pesh-e-nigah hi na dekh maut mein dhund zindagi zist mein nisti na dekh jaise har ek nafas nafas nok-e-sinan liye hue ishq ka khwab dekh le ishq ki zindagi na dekh main to sara-e-shauq mein dil ka kanwal jala chuka ab ye teri khushi ki tu dekh ki raushni na dekh ek usul yaad rakh salik-e-rah-e-zindagi naqsh-o-nigar-e-dahr dekh mud ke magar kabhi na dekh apni nigah pher le han ye mujhe qubul hai rakh meri aarzu ki sharm-e-shauq ki bebasi na dekh tujh pe ayan hai raaz-e-dil jaan ke bin na be-khabar mani-e-khamushi samajh surat-e-khamushi na dekh 'mulla' ye kya laga liya dil ko hansi hansi mein rog baat bata rahe the jo ho ke rahi wahi na dekh