raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai ai subh ke tare tu hi bata anjam mera kya hona hai in nau-ras aankhon walon ka kya hansna hai kya rona hai barse hue sachche moti hain bahta hua khalis sona hai dil ko khoya khud bhi khoe duniya khoi din bhi khoya ye gum-shudagi hai to ek din ai dost tujhe bhi khona hai tamiz-e-kamal-o-naqs utha ye to raushan hai duniya par main chandan hun tu kundan hai main mitti hun tu sona hai tu ye na samajh lillah ki hai taskin tere diwanon ko wahshat mein hamara hans padna dar-asl hamara rona hai matam hai meri aawaz shikast-e-saz-e-dil-e-sad-para ka 'saghar' mera naghma bhi dipak ke suron mein rona hai