kyunkar ye tuf-e-ashk se mizhgan mein lagi aag shabnam se kahin bhi hai niyastan mein lagi aag na us se dhuan nikle hai na shoala uthe hai ye turfa hamare dil-e-nalan mein lagi aag aatish jo hamare tan-e-pur-dagh ki bhadki daman se bujhai to gareban mein lagi aag ghar tu ne raqibon ka na ai aah jalaya phir kya jo mere kulba-e-ihzan mein lagi aag shakhen shajar-e-bid se aahu ne ragad kar wo shoala nikala ki bayaban mein lagi aag tasir teri dekh li ai aah-e-sharar-bar ek din na kabhi gumbad-e-gardan mein lagi aag allah-re garmi-e-mai angur ki 'ghafil' ek jam ko pite hi dil-o-jaan mein lagi aag