mare ghusse ke ghazab ki tab rukhsaron mein hai kal to thi phulon mein ginti aaj angaron mein hai tab ki sozish se mere chehre ki surkhi dekhna kuchh tumhein khush-ru nahin ye phir tarah-daron mein hai ruh tere ghar ko chhode ye kabhi mumkin nahin jism mera khak ho kar us ki diwaron mein hai itni zardi sari duniya ki khizan mein bhi na ho jitni aur zalim teri ulfat ke bimaron mein hai ya ghate kuchh ishq mera ya badhe duniya mein husn ye to na-kafi hai jitna un dil-azaron mein hai aaine mein dalta hai rukh pe meri si nigah tu bhi mere sath ulfat ke gunahgaron mein hai qudrat itne naz paida kar sakegi ya nahin un ka jitna sarf tere naz-bardaron mein hai masala kasrat mein wahdat ka hua hal tum se khub ek hi jhut aur tumhaare lakh iqraron mein hai qaid mein kitni badhi mere junun ki kahili us se kam hai jitni duniya bhar ke be-karon mein hai chand hi kah de jo dekha ho kahin tujh sa hasin us ne bhi dekhi hai duniya ye bhi sayyaron mein hai kufr ne islam ko shayad kahin mara ki 'shauq' matami poshak se kaba azadaron mein hai