lab-e-khamosh se ifsha hoga raaz har rang mein ruswa hoga dil ke sahra mein chali sard hawa abr gulzar pe barsa hoga tum nahin the to sar-e-baam-e-khayal yaad ka koi sitara hoga kis tawaqqoa pe kisi ko dekhen koi tum se bhi hasin kya hoga zinat-e-halqa-e-aghosh bano dur baithoge to charcha hoga jis bhi fankar ka shahkar ho tum us ne sadiyon tumhein socha hoga aaj ki raat bhi tanha hi kati aaj ke din bhi andhera hoga kis qadar karb se chatki hai kali shakh se gul koi tuta hoga umr bhar roe faqat is dhun mein raat bhigi to ujala hoga sari duniya hamein pahchanti hai koi hum sa bhi na tanha hoga