pahle to ek khwab tha khakistar-o-khawar ke beach ab andheri shab hai hail us ke mere ghar ke beach hadse jaise hain sab dekhe hue samjhe hue koi hairani nahin ab aankh aur manzar ke beach sab sipahi apni apni zat mein masruf the shahzada ab ke tanha hi lada lashkar ke beach asr-e-hazir ke siwa bhi kuchh zamane aur hain kuchh manazir aur bhi hain aasman manzar ke beach ek ye tarikh hai padhte hain jis ko aaj hum ek alag tarikh bhi hai ram ke babar ke beach lo 'qamar'-sahab zamana chaal apni chal gaya aap itna hi chale bas ghar ke aur daftar ke beach