masti mein bhi khayal-e-hudud-e-adab raha ashkon mein haal arz kiya basta-lab raha tere karam ne mujh ko ata ki wo be-khudi arz-e-sipas ka mujhe phir hosh kab raha tu ne jo kuchh diya wo diya lutf-e-khas se paband-e-astin mera dast-e-talab raha us bazm mein nigah pe qabu na rakh saka han mujh ko e'tiraf hai main be-adab raha daur-e-amal mein hum se to kuchh bhi na ho saka itna hua ki shohra-e-bazm-e-adab raha jam-e-tahi mila teri mahfil se kya hua paimana dil ke khun se yahan lab-ba-lab raha 'fitrat' rumuz-e-ishq na kah girya-kosh rah sab kuchh kaha usi ne jo yan basta-lab raha