lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
mujh ko kuchh bhi yaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

qalb-e-shikasta par jo na guzri mujh aashufta par jo na biti
aisi koi uftad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

tha jo armanon ka dera aarzuon ka hasin basera
ab wo makan aabaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

kaisi subh ki sard hawaen kaisi sham ki mast fazaen
tair-e-dil aazad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

gham ki kashti khe sakta hun saghar hath mein le sakta hun
izn-e-dil barbaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

chhin liya honton ka tabassum khushk kiya aankhon ka qulzum
kuchh kam ye bedad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

chhed na mazi ke afsane yaad dila mat gae zamane
dil 'abid' ka shad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close