lab pe surkhi ki jagah jo muskurahat mal rahe hain hasraton ka bojh shanon par utha kar chal rahe hain zindagi ki daud mein pichhe na rah jaen kisi se khauf-o-khwahish ke ye paikar nind mein bhi chal rahe hain dil mein khema-zan andhero kitni jaldi mein hai suraj jism tak jage nahin hain aur sae dhal rahe hain mere qisse mein achanak jugnuon ka zikr aaya aasman par mere hisse ke sitare jal rahe hain rakh hote ja rahe hain mah-o-sal-e-zindagani jagmaga uththa jahan hum sath pal do pal rahe hain mail-e-sajda ghulami bhul ja khu-e-salami aaj wo baadal kahan saya-fagan jo kal rahe hain