muaf kijiye gustakhiyan hamari hain labon pe aap ke ye titliyan hamari hain ye chait ka hai mahina tumhaari yaad bhara ki in dinon badi sar-garmiyan hamari hain tumhaare honton se kuchh rabte hain gahre se tumhaari aankhon mein dilchaspiyan hamari hain har ek lafz hai phika hai be-swad sa hai bahut laziz ye khamoshiyan hamari hain bhari do-pahri mein phaila hai shor yaadon ka tumhaari algani par hichkiyan hamari hain