na kuchh kahna na sunna barsar-e-paikar ho jaana qayamat hai nigahon ka teri talwar ho jaana kaleje kat gae sab dekhne walon ke sinon mein kise ma'lum tha angdai ka talwar ho jaana teri tirchhi nazar ne ye hunar bhi khub sikha hai khinche to tir ho jaana chale talwar ho jaana fareb-e-husn ka adna sa ek ye bhi karishma hai nazar-andaz ho kar tir ka talwar ho jaana teri nichi nazar bhi kya nazar hai ek qayamat hai kabhi nawak kabhi khanjar kabhi talwar ho jaana nirala hi tariqa hai hamare qatl karne ka kanakhiyon se kisi ka dekhna talwar ho jaana kisi ki be-rukhi bhi 'naz' hashr-angez hoti hai palatte hi nigah-e-naz ka talwar ho jaana