laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah

ladkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah
waqt thahra hai magar sukhi babulon ki tarah

dil to kahta hai ki har hath pe bai'at kar len
log yun rah mein milte hain rasulon ki tarah

chhat ko thame raho is shahr mein insan abhi
sar uthae hue phirte hain bagulon ki tarah

teri sharton pe mujhe zindagi manzur nahin
main ne chaha hai tujhe apne usulon ki tarah

dekh lena meri taswir ko hasrat se sahi
yaad aaun jo kabhi main tujhe phulon ki tarah

kal ki tarikh tumhein aisi saza degi 'zafar'
ghar mein latka diye jaoge maqulon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close