main zindagi ki rah-e-pur-khatar mein tanha tha pata chala ki main us rahguzar mein tanha tha khushi thi is ki ki sab hi the shahr mein apne gham is ka tha ki main phir bhi nagar mein tanha tha samajh sake na mujhe wo bhi jo the khud mere udas yun tha ki khud apne ghar mein tanha tha na tha koi mera rahbar na koi mera rafiq main zindagi ke andhere safar mein tanha tha jahan mein kahta bhi kis se main dil ka apne dard main us kharaba-e-be-baam-o-dar mein tanha tha na tha koi jo masaib mein sath deta mera hamesha nargha-e-barq-o-sharar mein tanha tha ghira hua tha main ahl-e-jahan ke majma mein magar main har nigah-e-dida-war mein tanha tha talash-e-zar mein mere sath be-shumar the log ba-in-hama main khud us shahr-e-zar mein tanha tha wo apne dil mein tha ek anjuman sajae hue wo jo ki ahl-e-jahan ki nazar mein tanha tha koi halif tha mera na koi mera harif 'wali' main razm-gah-e-khair-o-shar mein tanha tha