lafz be-jaan hain mere ruh-e-maani mujhe de apni takhliq se tu koi nishani mujhe de tera bhi nam rahe main bhi amar ho jaun aisa unwan koi aisi kahani mujhe de chal rahi hai badi shiddat se yahan sard hawa mujh ko bujhne se bacha soz-e-nihani mujhe de ye hasin ped ye khushbu meri kamzori hai din ka sab mal tera raat ki rani mujhe de mera mushkil hai safar tere sahaare ke baghair rukne lag jaun agar main to rawani mujhe de is qadar dhandli achchhi nahin umr-e-rafta mera bachpan na sahi meri jawani mujhe de mujhe andesha hai is bhid mein auron ki tarah tu bhi kho jaega apna koi sani mujhe de 'ram' har ek ke malik se guzarish hai to ye saf lahja mujhe de sada-bayani mujhe de