lamhe shumar zat bhi karne nahin diye pure ye wajibaat bhi karne nahin diye pesh-e-nazar hain apne muqaddar ki talkhiyan un se mutalibaat bhi karne nahin diye badle jo harf lafz ke mani badal gae mahfuz waqiat bhi karne nahin diye duniya ke sanehat ne dil ko rula diya tahrir hadsat bhi karne nahin diye mausam nae the dil ke kanwal kyun na khul sake kuchh ahd-e-iltifat bhi karne nahin diye milti koi kalid hi irfan-e-zat ki duniya ne tajrabaat bhi karne nahin diye